Hazrat Esa ka Maryam ki goud me logoun se baat karna

8:48 PM

Hazrat Maryam logoun se tang aker dour jagah ja kr rehnay lagi, aur khjoor aur chashmay k pani pe guzara kia. . Agay farman-e-Ilahi hai: ......."Pus agar tu ksi insan ko daikhy tau keh day k mene Rehman k lye rozay ki nazar mani hai, lehaza aj main ksi insan se baat nhi karoun gi." (Kehnay se murad hai k isharay se samjha de) (Is trah k "chup" k rozay un ki shari'at me jaiz thay, jisme khanay k sath baat cheet bhi band hoti) . Phir kuch arsay logoun ne Maryam ko gum paya. Wo logoun se dour thi. . Phir achanak Maryam logoun k samnay ayen tau aap k sath aap ka bacha Esa bin Maryam bhi tha. . Logoun ny kaha, Ae Maryam! Ye tau tu intahai hairat o ta'ajub wala bura kaam kar laye hai? Ae Haroon ki behan, na tau tera baap bura admi tha, aur na hi teri maa bad'kirdar aurat thi? . Logoun ny aap per ilzam tarashi ki aur intahai jhoot ka palanda aap ki ba-barkat zaat per uchala. . Phir halat tang hogae aur tawakkal ka madar Wo hi Zaat reh gae tau Maryam A.S ny bachay ki traf ishara kia. Means Maryam ne logoun ko isharay se kaha k is bachay se baat karlo tau tumhary sab sawalaat ka jawab is se milyga. Tab sarkash logoun ne kaha, hum kaisay is say baat karen, jab k ye intahai doodh peeta goud ka bacha hai? Tu hamary sath mazaq kr rahi hai? . Logoun ka ye kehna tha k Esa A.S, jo kuch din k doodh peetay bachay thay, foran bol uthay: . " Main Allah ka banda houn. Us ne mujhy kitaab di hai aur mujhy Nabi banaya hai. Mujhy ba-barkat bnaya hai. Aur Us ne mujhy jab tk main zinda rhoun, namaz o zakaat ki wasiyat ki hai. (Aur Us ne mujhy bnya hai) maa k sath neki krny wala. Aur jus din me paida hua, is din bhi mujh pe salamti hai, aur jis din main marounga aur jus din uthaya jaounga us din bhi mujh per salamti hai... "

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *