Hazrat Maryam per Mushkilaat ka waqt

7:39 PM

Bani Isra'ael k logoun me ye baat mash'hor aur aam hue thi k Hazrat Maryam pregnant ho chuki hain. Tau jin logoun ka Zikarya k haan ana jana tha, unho ne aap k ghar ana jana band kar dya. . Hazrat Maryam ka kehna tha k jab wo tanha hoti thi tau wo bacha un k sath baat cheet karta tha. aur jab un k sath koi hota tha tau pait me khuda ki tasbeeh karta tha. . Logoun ki batoun aur buhtan se tang aker Maryam logoun se chup kar rehnay lagi. aur aik dour daraz jagah me apnay ko daal lya. Phir un ko Dard-e-zaah (labor pain) Khajoor k tanay (Date tree) ki traf lay aya. Means jab aap ko makhsoos halat o takleef shru hue tau aap intahai majbor ho kar jaisay tinkay ka sahara lay rahi houn. aur koi aap k pass mojod na tha, lehaza Maryam khajoor k tanay ko pakar bethen . Riwayat k mutabiq wo khajoor wali jagah wohi hai jahan ab Bait-e-Leham bana hua hai, jo azeem-ul-shaan building hai. Tau khair jab Maryam wahan phunchi tau kehnay lagi, "Haye afsos, kash main is se pehlay marr jati aur bhooli bisri hogae hoti..." . Is se intahai takleef aur fitnay k waqt maut ki tamanna (na k khud-kushi) k jawaz ka pata chalta hai. aur Maryam ne ye tamanna islye ki thi k aap ko pata tha k log aap ko burai aur badkari ki traf tuhmat-zada karaengay/ ilzam lagaen gay. aur aap ki baat ko sach na janain gay. . Agay farman hai: ... " Aur khajoor k tanay/ stem ko pakar kar apni traf hilao, tum per taza taza khajoor jharr parain gi, phir khao aur piyo aur aankhain thandi karo..." Pregnant aurat k lye khajoor, dry ho ya taza, is se behtar koi cheez nahi. Aur darkhtoun/ trees me koi darkht us darkht se zyada Allah k nazdeek izzat o ikram wala nahi, jis k nechay Hazrat Maryam thehreen (stayed) (means Khajoor).

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *