Hazrat Maryam ko Farishtoun/ Angels ki khush-khabri

8:51 PM


Allah Ta'ala farma rahy hain hai k Malaika/ Angels ne Maryam ko good news di k Allah ne un ko tamam jahan/ dunya ki aurtoun me se chunn lya hai (selected) .....( Aal-e-Imran 42-51) Ta k un k batan Mubarak se aisi azeem shakhsiyat ko janam dilwae jo baghair baap k ho. Aur wo goud me bhi logoun se baat karay, means doodh peenay k zamanay me aur logoun ko Allah ki ibadat ki traf bulaye, aur phir burhapay me bhi logoun ko Allah ki traf bulaye ga. (jab dobara dunya me tashreef layengay) Aur phir Allah ne Maryam ko hukm dya k kasrat se ibadat aur riyazat aur roko'u o sujood ada karo. Phir Maryam ne bhi is qadar Allah ki ibadat ki k aap k qadam mubarak phatt gae. Allah aap per, aap k maa baap aur aap k lakht-e-jigr (Esa) per reham farmaye. Riwayat hai k Rasool Akram SAWW ne farmaya: " Jahan ki tamam aurtoun me se 4 aurtain kafi hain, jo tamam jahan wali aurtoun ki sardaar hain: * Fatima binte Muhammad SAWW * Khadija binte Kholed (wife of Muhammad SAWW) * Maryam binte Imran (mother of Esa A.S) * Aasiyah (wife of Fir'oun/Pharaoh)..."

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *