Hazrat Maryam aur Jibreel A.s ki mulaqat: (Maryam ka pregnant hona)

7:38 PM

Hazrat Maryam apnay "khaas" dinoun me Masjid se bahar nikalti thi, ya ksi bhi aur zarurat k lye, like pani aur khana wagera hasil krny k lye. Tau aik bar aap ksi hajat k lye nikli thi aur phir Masjid-e-Aqsa k mashriqi side tashreef farma thi k Haxrat Rooh-al-Ameen Jibreel samnay agae aur insani shakal me aye. Tau Maryam ne daikha tau kehnay lagi, "Main Rehman ki panah mangti houn tujh se, agar tu muttaqi aur parhezgar hai?" Tab Jibreel ne kaha, "Main koi insan nahi houn, aur aya is lye houn k aap ko pakeeza bacha doun.." Maryam kehnay lagi: "Mujhy bacha kaisay ho sakta hai? Jab k ksi bashar/ insan ne mujhy chu'a tak nahi, aur na hi main bad'kar houn.." Farishtay ne kaha: "Isi trah hoga. Teray Rab ne kaha hai k wo Mujh ko asaan hai. Aur ye Hum islye kar rahy hain ta k Hum usko logoun k lye nishani bana'ain k Hazrat Adam ko baghair maa baap k aur Hawwa ko baghair maa k aur ab aap ki aulad ko baghair baap k paida karain. Aur ye Hamari traf se rehmat hai.." Means wo (Esa) bachpan me logoun k lye ba'ais-e-sa'adat o rehmat hongay aur un k lye dua karengay aur logoun se Allah ki ibadat karwaengay. Hazrat Jibra'el ne Maryam ki qameez k gareban/ neck me phoonk mari thi, tau wo phoonk 'sharam-gah' tak khud phunchi aur is trah hamal thehar gya. (She got pregnant) Ayaat e Mubarka se maloom hota hai k Hazrat Jibreel ko Maryam k pass bheja gya tha aur aap insani shakal me thay. Unho ne Maryam k gareban me phoonk mari, na k Na'aoz-Billah sharam-gah k muqabil thehray. Bulkay wohi phoonk nechay muqam tak phunch gae. Aur farmaya gya: "Phir Hum ne us me Apni Rooh phoonk di, yani Rooh.." Agay Farman hai: (Phir wo us k sath hamla hogaen) means bachay k sath, (phir us ko dour jagah me lay gae) aur ye islye farmaya k Hazrat Maryam jab pregnant huen tau tang-dil (depressed) huen k log un k mutaliq ghalat ilzam a'aed karaingay. . Jab aap per hamal (pregnancy) ki alamaat zahir huen tau sab se pehlay Bani Isra'ael k aik naik o parhezgar shakhs ko uski jhalak pari. Uska naam Yousuf bin Yaqoub barhai (carpenter) tha. aur wo Maryam ka khala-zad bhi tha. . Yousuf ko is baat se intahai hairat hue, because wo Maryam ki diyanat o pakeezgi aur ibadat ko khoob janta tha. But is sab k bawajod wo aap ko pregnant bhi daikh raha tha. Aik martaba wo aap k samnay aaker baat cheet karny laga. aur pucha: . "Ae Maryam, kia beej/ seed k baghair kheti / crop ugg sakti hai?" . Maryam ne kaha: "Ji haan. Batao kis ne pehli martaba kheti ko paida kia?" . Yousuf ne phir pucha: "Kia baghair mard k aulad ho sakti hai?" . Maryam ny farmaya: "Ji haan, Alah Ta'ala ne Adam ko baghair Maa Baap k paida farmaya.." . Yousuf ne phir kaha: "tau acha apni khabar do." . Tau Maryam ne farmaya: "Allah ne mujhay khush-khabri di hai, Apni traf se aik nishani ki, jis ka naam Masih Esa bin Maryam (Christ) hoga. Aur wo dunya o akhirat me izzat wala hoga, aur logoun se bachpan me bhi aur burhapay me bhi kalaam karega aur saleh'een me se hoga.." . Aur Hazrat Zikarya A.S ne bhi Maryam se yhi sawalaat kye thay, aur Maryam ny yhi jawabaat dye thay... Wallah'alam . Logoun ne Na'aoz Billah Mayam A.S ko Yousuf (carpenter) k sath badnam kia aur un pe tuhmat o ilzam lagaya

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *