Hazrat Maryam A.s (Mother of Esa) ka qissa

8:51 PM

Hazrat Maryam k father Imran apnay zamanay me Bani Isra'ael k bht naik aur parhezgar shakhs thay. Aur Maryam ki mother "Khanta" bhe naik aurtoun me se thi. Riwayat hai k us time k mash'hor Prophet Zikarya A.s Maryam ki behan k husband thay. Dosri riwayat hai k Zikarya Hazrat Maryam ki khala k husband thay. Aur khala ka naam "Ashiya'a" tha. Hazrat Maryam ki mother pregnant na hoti thi. Tau aik din wo kia daikhti hain k aik bird apny bachay ko khana khila rha hai. Tau un k dil me bhi betay ki khuwahish uthi aur betay k lye dil tarpa. Tau tab unho ny nazar mani k agar Allah unko beta ata'a farma de tau wo apny betay ko Bait-ul-muqaddas me Allah k lye waqf kar dengi ta k wo wahan ka khadim banay. Allah k hukm se wo bilkul thek hogaen, tb wo Hazrat Maryam k sath pregnant hogaen. Agay Allah ka farman hai k: phir Maryam ko janam dya tau kehnay lagi, Ae Parwardigar, main ne tau larki janam di hai. Aur Allah khoob janta hai jo usny janam dya, aur larka larki ki trah nahi hai means Bait-ul-Muqaddas ki khidmat me. Aur us zamanay me log Bait-ul-muqaddas k lye aulad ki nazar maantay thay. Jo baray ho kar wahan ki khidmat sar anjam daitay.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *