Hazrat Hazqel A.S ka qissah

3:55 PM


Farman-e-Ilahi hai:

“ Bhala tum ne un logoun ko nahi daikha jo (shumar me) hazaroun hi thay aur wo maut k darr se apnay gharoun nikall bhagay.
Tau Khuda ne un ko hukm dya k marr jao, tau (wo sab marr gae) phir un ko zinda bhi kar dya. Beshak Khuda logoun per meherbani
rakhta hai. Laiken aksar log shukar ada nahi kartay… “ (Al-Baqrah, 243)

Aik basti thi, jis ko “Dawardan” kaha jata tha. Us basti me “Taoon” / Plague ki waba phail gae. Is basti k log taoon se marnay lagay tau bht se log wahan se nikal kar aik dosri basti me ja basay.
(bht se log marr gae aur bhaag janay walay zindah reh gae).
Tau jab Taoon khatam hogya, tau wo log wapis apni basti me agae. Is basti me kuch log marnay se bach gae thay, wo hasrat karnay lagay k kash hum bhi un k sath dosri jagah chalay jatay.
Khuda ki qudrat k next year phir se Taoon phail gya. Tau sab log nikal nikal kar bhagay. Aur almost 30,000 se zyada log nikal gae aur aik wadi “Afeh” me utar gae.
Tau ab k Khudai azab ne un ko yahan dosray tareeqay se ghair lya.
Aik Farishtay/ Angel ne wadi k ouper se , aur dosray ne wadi k nichli side se aisi sakht pukar di k “Marr jao”..…. Tau sab k sab maut k moun me chalay gae.
Hatta k jism k dher reh gae.


You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *